-_-_-_-_- PakistaniMusic.com -_-_-_-_- Courtsey: Asim Subhani O Jaan-e-jaan .., Asim Subhani Jab daikha main ney aasmaan Paaya tujh ko mein ney wahan Chaand taaray Sung teray Sajjay thay wahan Phir daikha main ney sapna Sapna mera apna Saara jahan Teray qadmoon mein Main ne rakh diya Tujh say he mil ker Mujhay her khushi pani hai Teray bin ye zindagi Ik adhuri kahani hai Teray sung jeeyon teray sung meron Bus khuda say yahi dua main ne maangi hai Kaisay tujh say keroon bayaan Chahoon main tujh ko kitna Her dum teray He khayaloon mein Khoya rahoon Mujhay taanay day ye jahan Poochay pyar tera hai kahan Tu he bata Kaisay ye sahoon Kya jawaab doon Teray sung guzra Har pal suhana hai Teray bin ye zameen Aasmaan soona hai Mera jeevan bus tujh se hai Tu jo nahin tou ye veerana hai Dil ki har dharrkan Meri saari saansein Tujh se he hain Tera naam lein Tum aa jao na Aa jao na Aa jao na Tu he meri zindagi Meray jeenay ka sahara hai Teri he tou yaadoon mein Main ne pal pal guzara hai O jaan-e-jaan tu hai kahan Teray liye he ye dil deewana hai Deewana hai .....