PakistaniMusic.com



-_-_-_-_- Pakistanimusic.com -_-_-_-_-

Courtsey: Kash Zubair

Lab Pey Aati Hey Dua, Nayyara Noor

Lub Pay Aati Hay Dua Bun Kay Tamana Meri
Zindagi Shama Ki Surat Ho Khudaya Meri
Door Duniya Ka Meray Dum Say Andhayra Ho Jayay
Her Jagah Meray Chamuknay Say Ujala Ho Jayay
Ho Meray Dum Say Younhi Meray Watun Ki Zeenat
Jis Tarah Phoul Say Hoti Hay Chamum Ki Zeenat
Zindagi Ho Meri Purwanay Ki Surat Yarab
Ilm Ki Shama Say Ho Mujh Ko Mohubat Yarab
Ho Mera Kaam Ghareeboun Ki Himayat Kurna
Dardmundoun Say Zaeefoun Say Mohubat Kurna
Meray Allah Burayee Say Bachana Mujh Ko
Nayk Jo Raah Ho Us Raah Pay Chalana Mujh Ko

Lub Pay Aati Hay Dua Bun Kay Tamana Meri
Zindagi Shama Ki Surat Ho Khudaya Meri